Friday, May 28, 2010

Babaji ko pranaam

Chand Sher jo Babaji ne kahe:

kismat ki khubi dekhiye kahan tuti hai kamand
do-char haath jabke lab-ae-baam rah gaya

Phool to do din bahar-ae-jaan fiza dikhla gaye
Hasrat un gunchon pe hai jo bin khile murjha gaye

layi hayaat aaye kazaa le chali chale
apni khushi aaye na apni khushi chale

aagaah apni maut se koi bashar nahin
samaan sau baras ka pal ki khabar nahin

kamar baandhe hue chalne ko sab yaar baithe hain
bahut aage gaye baaki taiyar baithe hain

aati nahin sadaayein unki mere kafas mein
hoti meri rihai ae-kaash mere bas mein

aadmi ek bulbula paani ka
kya bharosa zindgani ka

mita de apni hasti ko agar koi martaba chahe
ke dana khak mein milkar hi gul-ae-gulzaar hota hai